Tuesday, July 12, 2011

Suraj ki garmi se....














Jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko, Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko, Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai, Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se....

Bhatka hua mera mann tha koi, Mil na raha tha sahaara - 2
Laheron se ladti hui naav ko - 2 , Jaise mil na raha ho kinaara
mil na raha ho kinaara
Us ladkhadaati hui naav ko jo, Kisi ne kinaara dikhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai, Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se....

Sheetal bani aag chandan ke jaisi, (Raaghav krupa ho jo teri) - 2
Ujiyaali poonam ki ho jaaye raatein, Jo thi amaavas andheri - 2
Jo thi amaavas andheri
Yug yug se pyaasi marubhumi ne jaise, Saawan ka sandes paaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai, Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se....

Jis raah ki manzil tera milan ho,Us par kadam main badhaaoon - 2
Phoolon mein khaaron mein patjhad bahaaron mein, Main na kabhi dagmagaaoon - 2
Main na kabhi dagmagaaoon
Paani ke pyaase ko taqdeer ne jaise, Jee bhar ke amrit pilaaya - 2
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se....

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko, Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai, Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se....

No comments:

Post a Comment